Disneyland 1972 Love the old s


Bewafai Shayari

Bewafai Shayari-Bhangu.Xtgem.CoM

PAGE=16

Uske Hoonton Pe Mera
By : Gagan (Views : 1446)

Uske hoonton pe mera naam jab aaya hoga,
Khud ko rusvayi se phir kaise bachaya hoga,
Sun ke auroon se fasaana meri barbaadi ka,
Kya usko apna sitam yaad na aaya hoga.

 

Har Duaa Agar
By : Gagan (Views : 1700)

Har duaa agar kubool ho jaaye,
Aadmi beasool ho jaaye,
Ranj-e-gam rahatoon mein shamil hai,
Warna insaan malool ho jaye.

 

Ghar Kisi Ka
By : Gagan (Views : 1154)

Ghar kisi ka bhi wo kayaamm nahi hone deta,
Marne waale ka bhi maatam nahi hone deta,
Itna sangdil hai wo ishrat ke kisi keemat par
Ooncha pyaar ka wo parcham nahi hone deta.

 

Chaman Pe Jo Bhi Thay
By : Gagan (Views : 946)

Chaman pe jo bhi thay nafiz usool uske thay,
Tamaam kaante hamare aur phool uske thay,
Main iltejaa bhi karta to kis tarha karta,
Nagar mein faisle sabko kabool uske thay.

 

Fareb
By : Gagan (Views : 1174)

Tere waadon par kab tak mera dil fareb khaye,
Kuch aisa kar bahana ke meri aas toot jaye.

Bewafai Lagi!
By : Gagan (Views : 1791)

Kar baithe hum kuchh khata jaankar,
Jo usko bewafai lagi,
Humne socha ke wo maaf kar denge,
Par haath apne judaai lagi,
Humne ek pal mein usko gawa diya,
Jisko paane mein saari khudai lagi.

 

Mere Maazi Ko..
By : Gagan (Views : 1092)

Mere maazi ko andheron mein daba rehne do,
Mera maazi meri zillat ke siva kuch bhi nahi,
Meri ummeedon ka hasil, meri kwahishon ka sila,
Ek benaam vasiyat ke siva kuch bhi nahi.

 

Aatish-e-gham Ke Siva...
By : Gagan (Views : 899)

Aatish-e-gam ke siva kuch bhi nahi de sakte,
Ashk-e-paiham ke siva kuch bhi nahi de sakte,
Tum humein bhool hi jaao mere adil ab to,
Hum tumhe gam ke siva kuch bhi nahi de sakte.

 

Mohabbat Ki Keemat!
By : Gagan (Views : 1534)

Mohabbat ki keemat adaa hum karenge,
Jafayen karo tum wafa hum karenge,
Dua jab ke dete hain hum dushmano ko,
Kyun tere liye badd-Dua hum karenge.

 

Nahi Bhoola Hoon Main.
By : Gagan (Views : 1327)

Nahi bhoola hoon main ab tak tujhe o bhoolne waale,
Bata tujh ko bhi kya mera fasana yaad aata hai,
Main ro padta hoon jab guzra zamana yaad aata hai,
Na jaane kyun tera milkar bichadna yaad aata hai.

Cheraag Ke Noor....
By : Gagan (Views : 810)

Cheraag ke noor par na jaao,
Cheraag ki roshini na dekho,
Kisi patange ki badd-dua hai,
Wo zindagi bhar jala karega.

 

Ilzaam!
By : Gagan (Views : 993)

Sukhe patte pedon se gira raha hai koi,
Be vajah humein sata raha hai koi,
Kya kya na lutaya humne pyaar me unke,
Phir bhi ilzaam pe ilzaam laga raha hia koi.

 

Door Nigahon Se!
By : Gagan (Views : 1250)

Door nigahon se aansoo bahata hai koi,
Kaise na jaaon main, mujh ko bulata hai koi,
Dil tadpe jismein pyaar ko, kya samjhoon us sansar ko,
Ek jeeti baazi haar ke main dhoondon bichde yaar ko.

 

Shukriya...
By : Gagan (Views : 1665)

Shukriya Umar aap ki nawazishon ka,
Gam ki daulat mujhe ata kar di,
Tu ne has has ke ilteda ki thi,
Maine ro ro ke inteha kar di.

 

Raaste Khud Hi...
By : Gagan (Views : 1038)

Raaste khud hi tabahi ke nikale humne,
Kar diya dil kisi patthar ke hawale humne,
Hum ko maloom kya shaey hai mohabbat logoon,
Khud apna ghar phoonk ke dekhe hain ujale humne.

Pehli Mohabbat Mein...
By : Gagan (Views : 1198)

Pehli mohabbat mein khata kar raha hoon,
Kisi bewafa se wafa kar raha hoon,
Wo thukraaye to kya hua mere khuda,
Tu hi mila de tujh se dua kar raha hoon.

 

Sadi Ratan Di Neend !
By : Gagan:) (Views : 964)

Sadi ratan di neend kiti haram ohne,
Sada sacha pyar kita badnam ohne,
Asi ohde nal wafa kiti luk ke zamane ton,
Par sanu bewafa keh dita share-aam-ohne.

 

Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi !
By : Gagan (Views : 1150)

Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi,
Ye Teri Tarah Mujhse To Sharma Na Sakegi.

Main Baat Karunga To Ye Khamosh Rahegi,
Seene Se Laga Loonga To Ye Kuchh Na Kahegi.

Aaraam Wo Kya Degi Jo Tadpa Na Sakegi,
In Hoton Ko Main Kuchh De Na Sakunga.

Is Zulf Ko Main Haath Mein Bhi Le Na Sakunga,
Uljhi Hui Raaton Ko Ye Suljha Na Sakegi,
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi.

 

Khwab Aisa Dil Mein........
By : Gagan (Views : 1305)

Khwab aisa dil mein saja gaya koi,
Aadmi se pathar bana gaya koi.

 

Kya Zaroorat Hai..
By : Gagan (Views : 1380)

Kya zaroorat hai ke ehbaab ko samjhata chalo,
Raaz posheda jo mere dil-e-diljeer mein hai.

Katra-e-ashq ne jo daali hai cehrey pe lakeer,
Padne waala ho to sab kuch isi tehreer mein hai.

Muddat Hui Thi
By : Gagan (Views : 1114)

Muddat hui thi honth hamare sile hue,
Kal shaam wo mile to unhi se gile hue,

Wo keh rahe hai dard jo baksha hai zeesth hai,
Jo zakhm de chuke wafa ke sile hue.

 

Hakeekat Hai Ke.
By : Gagan (Views : 1063)

Hakeekat hai ke mar kar bhi, unhe hum yaad rakhenge,
Ye gulshan unki yaadoon ka sada aabaad rakhenge,
Mere saat unka waada hai, meri koi kabar na khode,
Meri us aakhri ghar ki wo khud buniyaad rakhenge.

 

Meri Lahed
By : Gagan (Views : 745)

Meri lahed se ho jab guzar tera,
Kuch der zara tum ruk jaana,
Phir haath uthakar sang dil tum,
Aankhon se moti barsaana,
Phir kabar se lipat ke sadik ki,
Tum dil ka haal suna jaana.

 

Mujh Ko Dafna Kar
By : Gagan (Views : 1112)

Mujh ko dafna kar jaayega jab wo thodi door zara,
Gir jaayenge aansoon uske jab wo haath uthayega..
Baandh liya hai kafan mein usne teri sab tehreeroonn ko,
Sadik rab ko jaakar tera ek ek khat dikhlaayega.

 

Koi Keh De
By : Gagan (Views : 982)

Koi keh de ye mohabbat ke kharedaron se,
Pyaar wo sheh hai jo milti nahi bazaaroon se.

Hum to pehle hi mohabbat mein jale baithe hain,
Kyun darate ho dahekte angaroon se.


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter